angel
Learning Angel
Posts : 163
Mumbai
Vote : 6
| Subject: dard dard dard.... 28th March 2009, 17:24 | |
| Aaj phir aaina poochta hai, Ke teri aankhon mein nami kyon hai Jiski chahat mein khud ko bhula diya, Uski chahat mein kami kyon hai----------------------------------Mat karo koi wada jise tum nibha na sako, Mat chaho use jise tum pa na sako. Pyar kiska kaha pura hota hai, Pyar ka pahla akshar hi adhura hota hai…----------------------------------Mohabbat mein laakhon zakham khaye humne, afsos unhe hum par aitbar nahi, mat pucho kya gujarti hai dil par, jab vo kehte hai hame tumse pyar nahi..------------------------------Teri duniaa se jaane ke baad mai tumhe, Har ek taare main nazar aaya karunga. Tum har pal koi duaa maang lena, Or main har baar toot jaya karunga.---------------------------------Zuban khamosh ankhon mein nami hogi Bas yahi dastane zindagi hogi Bharne ko to har zakham bhar jayega Par kaise bharegi wo jagah jahan teri kami hogi.--------------------------------Wo to pani ki boond hai jo aankho se bah jaye, Aansu to wo hai jo aankho mein hi rah jaye, Wo pyar kya jo lafjon mein bayan ho, Pyar to wo hai jo aankhon mein nazar aaye….----------------------------
Last edited by angel on 29th March 2009, 00:10; edited 1 time in total |
|
~!~ nanncian ~!~
Learning Angel
Posts : 382
Job/hobbies : love listen to music , love shayris ,and playing long tennis
Vote : 0
| Subject: Re: dard dard dard.... 28th March 2009, 19:58 | |
| Thukra ke usne mujhko, kaha ki muskuraao! Maine has diya, aakhir sawal uski khushi ka tha. Maine khoya woh jo mera tha hi nahi, Usne khoya wo jo sirf usi ka tha |
|
angel
Learning Angel
Posts : 163
Mumbai
Vote : 6
| |
Sponsored content
| Subject: Re: dard dard dard.... | |
| |
|